Sunday, January 31, 2010

Hindi Jokes

Pahala : Mere dadaji ki itani badi ladamani thi ki
sari duniya ke jaanvar usi me chara kha lete the
Dusra : Bus ? mere dadaji ke pass to itna bada
bambu tha ki wah aasmaan ko be chu leta tha.
Pahala : Kyun fenkata hai,tere dadaji use rakhte kahan the?
Dusra : Tere dadaji ki ladamani me.
`
Tinu : Kauwa telephone par baith kar
kanw kanw kyon kar raha hai?
Chinu : Lagta hai wah apani aawaj
dur tak pahunchana chahta hai.
`
Grahak : Chotu kya khana pakane me do gante lagate hai?
Chotu : Ji nahi,khana to teen din pahle he ban gaya tha,
ab to bus use garam kiya ja raha hai.
`
Kavi hraday doctor (Apane marij se) :
Kyon bhai raat ko nindra devi aai?
Marij (doctor se) : Pata nahi doctor sahab,
mai to kaafi pahale so gaya tha.
Ho sakta hai usake baad aai ho.
`
Saurabh: Kabhi kabhi mujhe apane charo or
andhera he andhera najar aata hai.
Gaurav : Aisa khastaur se kab hota hai?
Saurabh : Jab hamare ghar ki light chali jaati hai.

No comments:

Post a Comment