Tuesday, April 6, 2010

Sharabi - Pujari Funny Joke

Ek sharabi full tun hoke ghar ja raha tha,

Raste me mandir ke bahar pujari dikha.

Sharabi ne pujari se pucha, Sabse bada kaun?

Usse picha chudane ke liye pujari ne kaha ye mandir bada.

Sharabi bola mandir bada to dharti pe kese kada?

Pujari : Dharti Badi,
Sharabi : Dharti badi to Sheshnag pe kyon kadi?
Pujari : Sheshnag bada,
Sharabi : Sheshnag bada to shiv ke gale me kyon pada?
Pujari : Shiv Bada,
Sharabi : Shiv bada hai to parvat pe kyon kada?
Pujari : Parvat Bada,
Sharabi : Parvat bada hai to hanuman ki ungli pe kyon pada?
Pujari : Hanuman Bada,
Sharabi : Hanuman bada to ram ke charno me kyon pada?
Pujari : Ram Bada,
Sharabi : Ram bada to Ravan ke piche kyon pada?
Pujari : Are mere bap tu bata kaun Bada?

Sharabi : Is duniya me vo Bada jo puri bottle pike apni Tango pe Kada.

No comments:

Post a Comment